sms shairi




Its a Best Collection Of Urdu Poetry for sms.

  • Miltay hain Hum say Woh bhi Taiver Badal badal ker....... Jin Ko sikhaaya Hum nay Chulna Sunbhal Sunbhal ker
  • us ne mangi tu faqat hum say judai mangi...aur hum thay humen inkar na karna aaya
  • Angaraiee bhi wo Lenay na paye utha k hath ....... Dekha Jo Mujh ko chor diye Muskura k haath ;)
  • tumhare bas mein agar ho to bhool jaoo hamein ... tumhein bhulane mein shaid hamein zamana lage
  • Apnay Chehray Pe Jo Dekhay Us k Hontoon K Naqoosh ...... Mudatoon k Baad Mujh Ko Aieena Acha Laga. ;)
  • Maana ke Aapki Nazaron Mein Kuch Nahin Hain Hum........Magar Unse Jaker Puchiye Jin-hain Hasil Nahi Hain Hum .
  • Ab Udaas Phirtay ho Serdyon ki Shamon mein ........ Is Tarah to hota hai Is Tarah k Kamoo mein. :P
  • jo meri mehfil main aa jaye us ka dil se khadim hoon...jo uth ke jana chahe usay roka nahi kerta
  • tumhara naam likhnay ki ejazat chin gai jab se .... koi bhi lafz likhta hoon to ankhein bheg jati hain
  • hazaroon dukh parein sehna mohabbat mar nahi sakti ... hai tum se bas yehi kehna mohabbat mar nahi sakti
  • abhi to Ishq mein aesa bhi haal hona hai .... k ashq rokna tum se mahal hona hai
  • Younhi besabab na phira karo koi shaam ghar mein raha karo ...... jo kaha nahin wo suna karo, jo suna nahin wo kaha karo
  • wo mere haal pe roya bhi, muskoraya bhi ... ajeeb shaks hai apna bhi hai paraya bhi
  • Koi haath bhi na milayega jo galay milogay tapak se ....... ye naye mizaj ka shehar hai zara faslay se mila karo
  • Teri Khuli Khuli se Zulfain....Teri uri uri se Rangat....Teri Subah Bata rahi hai....Teri Raat ka Fasana ;)
  • Aj youn mousam nay di jashan-e-mohabbat ki khaber ... phoot ker ronay lagay mein, mohabbat aur tum
  • tu nahi mera maseeha, mera qatil hi sahi ... mujh se wabasta kisi tour, tera naam to hai
  • pehlay is mein aik ada thi, naaz tha, andaaz tha .... ruthna ab to teri adat mein shamil hogaya
  • na hansnay main hay na hansanay main hay .......Zindagi ka maza to larki patanay mein hay ;)

  • Roop deker Mujhe us mein kissi shahzaday ka ........ apnay bachon ko kahani wo sunati hogi !
  • Hum na hongay hamari yadain to hongi......dil behlanay ko hamari batain to hongi !
  • Chandni, Phool, Kiran, Khushboo, Sitara, Jugnoo ......... Ye sabhi Aap k hi naam Hain, Chonka na karain :)
  • Bicheray to Dosti k Asasay bhi Butt gaye ........ Shuhrat wo legaya, Mujhe ruswai Degaya
  • Wo to Milta hai Abhi tak Muskura ker hi mager ...... Aik girah Jo perhgaye hai Dil mein wo jati nahin
  • Wo Aik Shaks Bhi dekha to Dushmano mein Tha ......... K naam jis ka mere Dil ki Dherkano mein tha
  • main apni dosti ko shehar main ruswa nahi kerta......mohabbat main bhi kerta hoon magar charcha nahi kerta
  • Chal Saath K hasrat dil-e-marhoom se niklay ...... Aashiq ka janaza hai zara dhoom se niklay
  • Ghum ho to un ko ho jinhein dharka ho mout ka ........ Hum, Tum pe merchuke, Humein marnay ka ghum nahin
  • Aag se Aag na lag jaye Kahin ....... tum Haseen ho to Jawan hoon mein bhi :P
  • Tu Hai Suraj Tujhe Maloom Kahan Raat Ka Dukh ........ Tu Kissi Roz Mere Ghar mein uter Shaam K baad
  • zindagi kia hai bas aik raat ka fasana hai ... aik hi shab ko sahi, piyaar ka mousam to milay ;)

  • tha erada teri feryaad karein Hakim se ..... wo bhi kam bakt tera chahnay wala nikla
  • Muhaabat ko Samjhna hai to Aye Ghafil Muhabat ker ...... k Sahil se kabhi andaza-e-tofan nahin hota
  • Dekh k Phool Ko wo is liye chonka hoga ......... Phool ka naam mere naam se Milta hoga
  • Tasveer meine mangi thi, shokhi to dekhiye ........ Aik Phool Us nay bheg diya Gulab ka
  • Is qader toot k tum pe hamein piyar ata hai .... apni bahoon mein bahreiin mar hi dalein tumko
  • Hoti hogi mere bosay(kiss) ki talab mein pagal ...... jab bhi zulfon mein wo koi phool sajati hogi
  • Bahein Meray Raqeeb Ki Gardan mein Dal K......... Mujh se mazay wo Pooch rahay hai Visaal K
  • Chand se Log thay Phoolon Ki Tarhan Hanstay Thay ........ Dard thay Dil mein Mager Lab pe Hansi Rakhtay thay
  • Dushman ko Bhi Hum Pakeeza Saza Detay Hain............Haath Uthatay Nahi Hain Bus Nazron Say Gira Detay Hain.


  • Power Compuvision
    2002